WO DUAON KA ASAR HOGA…
Sandeep Silas ‘deep’
Wo duaon ka asar hoga, to zaroor mera hoga
Khuda ke samney mera sar, yun hi jhuka hoga
Wo dil jo mera hoga, to zaroor dhadakta hoga
Khuley aasman ki tarah, wo bhi simat-ta hoga
Wo khwaab subah ka hoga, to zaroor sachh hoga
Aftaab ki mauzoodgi mein, wo chand nikla hoga
Wo kis kadr mujhey chahega, uska noor kaisa hoga
Wo anjum-sabaah, nazuk mizaaj, paak ruh hoga
Wo shabnam ki tarah hoga, to khamosh barasta hoga
Bikhar-bikhar kar rom-rom, wo zaroor khilta hoga
Wo nagma-numah hoga, to saaz ke liye jeeta hoga
Sur aur lay ka roz, dekho, khushnumaah milan hoga
Tutey huey sitaron ka phir, koi naya jahan hoga
Wo ‘deep’ gar jala hoga, ghar-mandir ka hi hoga
Copyright: Sandeep Silas ‘deep’
(Written: Delhi; November 16 & 17, 2017)